Tuesday, July 24, 2007

Dialogues that cant be forgotten !!!!!

.......Reminds us of those College days.... years of non-stop masti... day afterday...



1. On being Late



"Jamy, Kab chalu hua?"



"Attendance ho gaya kya??"



"Kal raat der tak gappe marte rahe yaar"



"Mein kya karu, Pushpi bathroom mein ghusa hua tha"



"Aab nind nahi khuli to mein kya karu......... bolna ....... kal kya padaya tha sir ne"


"Kal se pakka class karunga"



"Ek page de na.......... abe pen bhi to de......."



"Sumit bhai, kal proxy mara tha kya"



"Yaar iss class ke liye koi subah kaise aa sakta hai........"

"shhh.. mat bata Shweta ka proxy kisne mara hai "



2. During the lecture



"Yesss!!!! Sir.......The answer is



......huuuummmmm.......aaaaaaaa............"



"No sir.....I know the answer ......sir...."


"Saala apne aapko Newton samajta hai"



"Abe lecture ko chod..... Arpita kya lag rahi hai aaj........"
"Uske bagal mein nahi baith sakta tha.......gadha......."
"mera assignment tere paas hai??"



"Kya bore ho raha hai. Bola tha cigarette pene chalte hain ."



"Heads, we go canteen , Tails, we go canteen now!!!"



"Boss class khatam hote hi chai chahiye......"


"Oye Jim. Guitar leke canteen mein aa crowd wait kar rahi hai...."


3. Lab



"Expt. 2 likha??"



"Idhar Karna kya hai??"



"Yeh bhai.....mereko aata to tere pass kyon aata........"



"Areee tu to bura maan gaya .......data dikha na........."





4. Unit Test



"Unit test???? ......Aree yaar...... "



"Kya...... abe unit test mein itna topic hai to annual mein kya hoga...."



"O Bhai Ritesh..... hogaya......aur nahi ho sakta........jaan nahi de sakta......."



"Oh !!! Itna syllabus cover ho gaya ?"



"Aaj kounsa test hai?"



"Oye Somali kahan hai......uska roll number mere baad hai.......wo nahi aayi to mein pakka fail...."

"Thoda setting karna baba.. exam ka sawal hai.... pass-fail ka sawal hai"

After test......



"yaar pada tha....recall nahi kar paya.......chhod na .......abhi to hum Canteen chalega..."


5. For attendance (less attendance isliye attendance badane ke liye bahane)



"I was in the class, lecturer mark karna bhool gaya "



"Oye usko thoda khus kar list se tera naam hata dega........"



"Bola tha proxy regularly maar....... Saale tera class karne ka kya faida hua....."





6. Late submission of assignments



"Maineukko bola thaa ki copy karke mera assgnment bhi saath mein submit kar dena"



"Last date extend hua thaa"



"I didn't know the last date"



"Ab mein kya karu wo mereko bole bina hi submit kar diya......."



"They should allow XEROX........"







7 . After exam



"Yeh bhi syllabus mein thaa kya?"



"Achha !!! ye aise hota hai kya?"



"Oye Shilpa, ye subject ka reference book kounsa hai"
"Arrr Gothi bhai, ek reference card dena.."


"1st mein 3 marks.....2nd mein 0.......3rd mein 2....... Gaya ..........fail pakka......."



"Yaar notice lagte hi faad dena........wo kya soochegi mera marks dekh ke......"





8 . VIVA (b4 exam)



"Submission ab tak hua nahi hai , VIVA kya ghanta doonga"



"Aeee......Prabhu.....terese kya poocha......."



"External ke ghar mein bacche nahi hai kya......."



"Dekh bhai!! external bhi aadmi hai. Usko pata hai students ka ab tak preparation nahi hua hai"





9 . VIVA (General)



"Dekh , tu jo bhi padhega , woh (external) tereko woh nahi poochhnewaala, then watz the point"



"Roll no. 1 aur 2 ka watt laga diya hai"



"External is asking BermudaTriangle ka Magnetic force kitna hai"



"Ye kounse unit mein aata hai"





10 . Submission



"Ye bhi chhapna hai kya?"



"Iska bhi print-out lena hai kya?"



"Jai ho computer baba ki......jai ho Ctrl C - Ctrl V ki......."



"Tujhe Sir ka sign aata hai kya?"



11 . A convo:



"Ye tune kya likha hai????"



(The best one)-->



"Jo word samajh mein aa raha hai woh likh, jo nahi samajh mein aa raha hai uska drawing nikal"

"Phir bhi, kuch to idea hoga??"

" Maine uska likha hai, mera assignment check ho gaya , tu bhi wohi kar."

"Koi hint........"

"Arrr baba ghaseet de........na tu samjega na wo........"





12. Exam



"Jo (mujhe) aata hai, woh (paper mein)aata nahi hai; jo nahi aata hai woh aata hai"



"ye question 2 saal se nahi poochha hai"



"ye last time hi poochha thaa"



"tere paas is ke notes hai??"



"woh chapter... mark weightage 6 marks... (facial ex-pressions speaks the story)"



"Oye Jim, nahi samjha to rat le"



"External ka aane ka pura scene hai....... "



"Iss paper mein roll number ka kya order hai........"



"Pichle paper mein to kuch to aata tha.......issmein to anda aata hai......"



"Ek aur din ka gap de dete to kya 3rd World War ho jata tha kya........"

No comments:

Post a Comment